Description
Munna: Bolay to darad kahan hai aapko. Patient (F): Pooray badan mien hai Munna: Yeh kaisay ho sakta hai ray, kuch detail batao. Patient: Tocuhes her right knee and says here, then touches her earlobe and says here, then touches her left cheek and says here, etc. Munna: Aesay hi khaali peeli tension de reli hai, teri finger mien dard hai.
Patient: Doctor aap ko yakeen hai k mujhay Namoonia (pneumonia) hai, kyun k pichlay dino aik doctor meri friend ka Namoonia ka ilaaj karta raha aur woh Typhoid say mar gayi. Munna: Haan ray meray ko akha yaqeen hai, tu namoonia say hi maray ga.
Raat ka time jab Munna aur chinkie apnay bed room mien so rahay thay to phone ki ghanti baji. Voice: Aray Doctor sahab jaldi aayeay! Meray betay nay blade kha liya hai Munna abhi jaanay k liye tayyar hi hota k dobara phone aata hai. Voice: Doctor Sahab! Ab aanay ki koi zaroorat nahi, meray husband ko shave k liye doosra blade mil gaya hai.
Aanand jab end mien bachon ko story sunata hai to bolta hai; Aanand: "Munna nay kaha tha k woh mujhay aik month mien meray feet pay khara kar de ga" Bachay: Phir? Aanand: "Phir kya, mujhay us ka bill pay karnay k liye apni car bechna pari."
Chinkie: Tum hamaisha clinic mien apnay saath meri photo bhi kyun le jaatay ho. Munna: Apun ko jab bhi koi mushkil aati hai, apun tumhari pic dekh leta hoon aur woh prob. solve ho jaati hai. Chinkie: Dekha! Mien tumharay liye kitni achi aur powerful hoon. Munna: Haan! Apun teri pic dekhta hai aur apnay aap say bolta hai "Is say bari bhi koi problem ho sakti hai bhala."
Munna: Teray ko maaloom hai k cigarette aik tarah say slow poison ka kaam karta hai. Patient: To mujhay konsa marnay ki jaldi hai. |